Thursday, August 6, 2009

Shakti

Iss rakh mein mujhe aaj bhi
Ek shola ka ansh dikhta hai
Kuch garam vishwaason ka
Kuch beech mein ruke sapno ka
Kuch aashyein , kuch iradon ka
Prayatan karta huya prakash dikhta hai.

Mein chahtha hun isko hawa dun
Shesh ek chingari bhi thama dun
Dekhna chahunga mein uss aag ko
Jo iss gilli mitti ko bhi jala de
Ya reh jaye mere hatheli par
Ek ghaav , Ek Praman

Monday, January 5, 2009